Tujhe dekhne ke baad mujhe pata tha...
- Mic Up
- Jun 17, 2020
- 1 min read
Tujhe dekhne ke baad mujhe pata tha...
Tu wahi hai..
Jiske wajah se ye dil thoda sehma rehta hai...
Baatein aajkal thodi kam hoti hai..
Koi puche toh mera dimaag khwaabo mein leheraata rehta hai..
Tujhe dekhne ke baad mujhe pata tha...
Ki tu sahi hai...
Tujhmein mein kal dekhta hun
Mere life ke adhe hisse ko tujhe pura karte dekh khush hota hun
Teri hasi ko mere duniya mein rang bikherti hui pata hun
Tere pairo ko makhmal si khushiyon mein sametna chahta hun...
Tujhe mein mujhse milana chahta hun kyun
Tujhe. Dekhne ke baad mujhe pata tha tu wahi hai
Har taraf se sirf ek hi awaaz hai ki tu sahi hai...
Jab mile the hum tab thoda bachpana tha mujhmein...
Thoda jyada hi bolta tha tabhi meim
Vaadon ki gehraiyon nahi jaanta tha..
Baaton ki ahemiyat ko nahi pehchanta tha..
Tab tujhe sab pata tha...
Teri har baat aaj samaj aati hai...
Har waqt tabhi aur abhi tere saath na hone kasar nazar aati hai..
Bas ab bahut gaya ab galtiyan bhi karli...
Maafi bhi mang li maine tumne... Ab nayi shuruaat hogi
Ek naye canvas pe tumharit aur meri tasveer...Naye rango se khilegi...
Aur jab mujhe palat ke dikhegi tu..
Tab lagega sab sahi hai...
Main bhi hun aur tu wahi hai..
Omkaar

Kommentare