Tu aayegi jab aayegi tab aayegi par tu aayegi
- Mic Up
- Jun 17, 2020
- 1 min read
Updated: Jun 17, 2020
Tu aayegi jab aayegi tab aayegi par tu aayegi
Main dhundne nahi jaata usse
Mujhe pata jarurat nahi hai usse
Woh jab aayegi tab pata hoga mujhe
Chehre bina ruke muskaan hogi
Jahan jaise rango se khilega
Bollywood ka har ek romantic song background mein jarur bajega.
Bola na maine
Tu aayegi jab aayegi tab aayegi par tu aayegi
Waise mein mumbai ka rehne wala hun
Samundar kaa saath milne mein
Bahut naseeb wala hun
Jab bhi jaata hun chowpatty pe..
Haan hum beaches ko chowpatty kehte hai
Toh jab bhi jaata hun chowpaty pe
Jhoot nahi bolunga buraa toh lagta hai...
Chaar taraf umadta pyaar dekh kar thodi jalan toh hoti hai...
Par baadmein yeh sochke khush ho jaata hun ki
Tu aayegi jab aayegi tab aayegi par tu aayegi
Phir kabhi kabhi ho jaata hu main thoda sa besbr
Mil leta hun 4 5 titliyon se tumhe khojne ki koshish mein
Phir samaj jaata hun tum titli nahi ho
Tum toh mere sapno se ubhri hui pari ho
Jiski ek jhalak se duniya bhar ki saari pareshaniyon ko meri bhula deti Ho
Isiliye kehta hun
Tu aayegi jab aayegi tab aayegi par tu aayegi
Barsaat mein chai ki chuski lete hue akele hi terrace pe
Jab sochta hun agar tum hoti yahan toh mein kya karta
Mein tumhara haath pakadta aur humaare rishte ka izhaar jarur karta..
Tumhare gaalon par baarish ki motiyon ko jarur chumta
Aur phir seene se lagakar apni dhadkane jarur sunata aur kehta
Yaad hai main kehta tha
Ki
Tu aayegi jab aayegi tab aayegi par tu aayegi
Omkaar

Comentarios