top of page

Ab Haarna Nahi hai

Updated: Jul 24, 2020

By Omkaar

Ab haarna nahi hai..Jhukna nahi hai

Bada lamba safar tay kiya hai

Ab mudna nahi hai

Manzilein paane ke koshish mein

Jaane kitno ne thukra diya

Ab roz roz thokar khakar

Mera guroor bhi bhuna gaya


Ab Guroor nahi hai apne aap par

Ab bharosa nahi hai har kisi par

Bas jaanta hun kaun mere saath

Aur kaun hasega mere haar par

Ab haarna nahi hai


Kaiyon ne kahan tha bahut mushkil hai

Aasanise je lo beta

Gujaro zindagi compromise mein

Akela hota toh tut jaata

Safar khatam bich mein

Aur raasta adhe mein chuth jaata..


Par saath hai ek saath hai ab haarna nahi hai


Umeed hai kaamyabi mein

Aur yakeen hai humaare mehnaat mein

Woh upar wala bhi dekh raha hai

Kuch bande hai jo uski di huyi

Zindagi badi shaan se ji raha hai


Maa ka aashirwad hai aur baap ka sapna hai

Humein ab upar hi jaana hai ab niche na khayi hai

Na aur girna hai, Ab haarna nahi hai..



Comentarios


©2020 by micup.in

bottom of page