Har safar mein humsafar khojna jari hai..
- Mic Up
- Jun 17, 2020
- 1 min read
Har safar mein humsafar khojna jari hai...
Bhaiyon ab usko dhundna mere liye bahut jaruri hai...
Waise har waqt mein jab bhi train ya bus se travel karta hun...
Nazare har jagah hoti hai .Par dhyan tum par hi hota hai...
Par tum ab tak dikhi nahi ...
Aadha bharat ghum liya ab tak saamne aayi nahi...
Bas karo ab yeh chupan chupai ka khel tang aa gaya hhai...
Usse acha tumhara haath thamke jivan sakhli khelna mujhe bechain kar raha hai...
Yeh un dino ki baat hai... Jab mujhe pehli dafa laga ki tum wahi ho jo mere safar mein humsafar hogi.. Par tabhi tumse kuch kehne ki tumse rubaroo hone ki tumhe yeh puchne ki Jiska har gaane mein zikr hota hai..Kya tum wahi ho Jise kuch log jaaneman dilruba... Aur kuch logon ko bina kahe tum nazaro mein kaid karati ho.. Phir gayab ho jaati ho.
Isiliye Woh Ghalib ki Shayari mein hai..Woh ustaadon ki gazalon mein...
Woh aaj kal ke udte hue nagmo mein bhi hai...
Woh mujhe dikhti nahi par mehsoos jarur jaati hai..
Kisi gaon mein bailgaadi par dhalte hue suraj dekhte hue mera paas hone ka chaasa jarur deti hai...
Woh banjari hai main awara hun..
Woh azaadi hai..
Mein azaad hun..
Woh prerna hai main khayal hun
Woh intezaar hai aur main usse khoj raha hun

Комментарии